Monday, April 1, 2013

Allah ne doodh piti bacchi ko zabaan ataa farmya

Assalamu Alykum

Firoan ki beti ki kangi karne wali Hazrat Musa alayhis salam par imaan la chuki thi. ek din wo kangi kar rahi thi ki kangi hath se niche gir padi. uske mooh se be-sakhta nikla Khuda ke kaafir ka bura ho. 


Firoan ki beti ne pucha kaun se Khuda ka tumne zikr kiya.! boli jis Khuda ka pata Musa alayhis salam ne diya. Firoan ki beti taish me aa kar boli kya tum bhi Musa alayhis salam ko maanti ho aur mere Abba ke Khuda hone ka inkaar karti ho.?

Boli beshaq tumahra Baap jhootha hai. Khuda wahi ek Khuda hai jisne mujhe tujhe aur tumahre Baap ko bhi paida kiya aur Musa alayhi salam ko apna paighambar bana kar bheja. 
Firoan ki beti gusse me aa kar apne Baap ke paas pahuchi aur saara kissa use suna diya. 
Firoan ne us momina ladki ko bula kar pucha ki kya yeh baat sacchi hai jo maine apni beti se suni hai. 
Boli bilkul sach hai. main tujhe hargiz nahi maanti aur Musa alayhis salam ka kalma padhti hoon. 
Firoan ne jallaad ko bula kar use lita kar uske hath aur pairo me keel thukwa kar use sakht saza di. 

Fir uski ek dudh piti bacchi ko manga kar uske saamne lita kar hukm diya ki Maa ke saamne is bacchi ko zibah kar do. yeh manzar dekh kar momina be-ukhtiyar cheekh utthi. usi waqt dudh piti bacchi ko Khuda ne zubaan ata farmayi aur kehne lagi...

Aye Maa.? mat pareshaan ho tu sabr wa shukr kar. maine dekha hai tera jannat me ghar. Aye Maa.! khaberdar apna imaan na chhodna sabr wa shukr se meri aur apni taklif bardasht kar. Khuda ne tumahre liye jannat me ghar bana rakkha hai. thodi der ke baad hum dono wahan pahuch kar abdi raahat paa legi. chunanche zaalim ne dono ko shaheed kar diya.


Inna Lillaahi Wa Inna Ilayhi Raajioun.
(Nujjahtul Majalis : jild-1, Babul Jihaad, page-162)

Beshaq sabse badi ALLAH ki ek neamat istikamat bhi hai. sekdon zor wa zulm hone ke ba'wajud apne Maslak-e-Haq par date rehna bahot bada jihaad hai. Khuda farmata hai..
wo jinohne jaha Rab humara ALLAH hai fir us par kayam rahe un par farishte utarte hai aur kehte hai na gham karo aur khush ho. us jannat par jiska tume wada diya jata tha.
(Para-24 : aayat-18)


www.facebook.com/sarkarkighulami

No comments:

Post a Comment