Urs Hazrat Khwaja Nizamuddin Aulia Radiyallahu Anhu (Dehli)
Bayan Kiya Jata He Ke Ek Martaba Ek Shakhs Mehboob e Ilahi Nizamuddin Auliya Alayhirrehma Se Mulaqat Ki Garz Se Hazir Hua. Uske Hath Me Paiso Ki Ek Theli Thi. Sarkar Nizamuddin Auliya Us Waqt Vuzu Farmakar Khade Hi Hue The. Wo Shakhs Aapke Paas Aaya Aur Kaha Ke Hazrat Ye Kuchh Paise He Inko Me Aapke Madrase Me Bataur e Hadiya Dena Chahta Hu. Sarkar Nizamuddin Ne Us Thaili Me Se Sirf
Ek Paisa Liya Aur Puri Thaili Us Shakhs Ko Vapas Kardi Aur
Farmaya Ke Hamare Liye Itna Hi Kaafi He Baaki Paiso Ko Tum Apne Ghar Ke Kaam Me Istemaal Karlo.
Jab Aapne Us Shakhs Ko Wo Theli Wapas Ki To Usne Bade Gurur Aur Takabbur Ke Sath Kaha Ke Hazrat Puri Theli Le Lijiye Vese Bhi Ham Jese Maaldaro Ki Vajah Se Aapke Madarse Chalte He. Itna Sunna Tha Ke Sarkar Nizamuddin Auliya Ko Jalal Aaya Aur Aapne Usko Farmaya Ke " Naadan Jab Tu Khuda Zikr Kama Hakkahu Nahi Karta Fir Bhi Jab Tere Paas Itna Maal He To Hamare Madrsase Me To Din Raat Allah Ka Zikr Hota He Hamare Paas Kitna Maal Hoga" Itna Farmane Ke Baad Aapne Usko Kaha Ke Is Paani Ke Hauz Ki Taraf Dekh, Jab Usne Hauz Ki Taraf Dekha To Behosh Ho Ke Gir Pada
Jab Use Hosh Aaya To Logone Pucha Ke Kya Maamla He? Tum Hoz Ko Dekh Kar Behosh Kyu Ho Gae?. To Usne Jawab Diya Ke Jab Hazrat Ne Mujhe Hoz Ki Taraf Dekhne Ko Kaha To Mene Dekha Ke Pura Hauz ke Paani ki Jagah Dirhamo Dinar (Paiso) Se Bhara Hua Tha Usko Dekh Kar Me Behosh Ho Gaya...
Karam Ya Sarkar!!!
Facebook: Sarkar Ki Ghulami
Subhan allah
ReplyDeletemasha allah
ReplyDeletemasha allah
ReplyDelete