Monday, May 6, 2013

»BAADALON PER HUQUMAT« 

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''


HIQAYAT:-
'''''''''''''''''''
Madina Munavwara May Ek Martaba Baarish Nahi Hui Thi! Kahath (Aakaal) Ka-Sa Aalam Tha! Log Bade Pareshan The!
Ek Juma Ke Roz Huzoor Sarwar-A-Aalam SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Jabki Vaaz Farma Rahe The,

Ek Arbi Utha Aur Arz Karne Laga,

Ya Rasoolallah! SALLALLHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Maal Halaak Hogaya Aur Aulaad Faaka Karne Lagi!
Dua Farmayiye Baarish Ho!

Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Usi Waqt Apne Pyare-Pyare Noorani Hath Uthaye! Raawi Ka Bayaan Hain Ki Aasmaan Bilkul Saaf Tha, Abr (Baadal) Ka Naam-O-Nishaan Tak Na Tha! Magar Madni Sarkar Ke Hath Mubarak Uthe Hi The Ki Pahaadon Ki Maanindh Abr Cha Gaye Aur Chahte Hi Baarish Barasne Laga!
Huzoor Mimber Per Hi Tashrif Farma The Ki Baarish Shuru Hogaya!
Itna Barsa Ki Chath Tapakne Lagi! Huzoor Ki Rish-Mubarak Se Pani Ke Katre Girte Hamne Dekhe!

Fir Yeh Baarish Bandh Nahi Hua Balki Hafta-Bhar Barasta Raha, Hatta Ki Lagatar Agle Juma Tak Barasta Hi Raha!
Huzoor Jab Dusre Juma Ka Vaaz Farmane Uthe To Wohi Arbi Jisne Pehle Juma May Baarish Na Hone Ki Taklif Arz Ki Thi,
Utha Aur Arz Karne Laga,

Ya Rasoolallah! Ab To Maal Gark Hone Laga Aur Makaan Girne Lage! Ab Fir Hath Uthayiye Ki Yeh Baarish Bandh Bhi Ho!
Chunanche, Huzoor Ne Fir Usi Waqt Apne Pyare-Pyare Noorani Hath Uthaye Aur Apni Ungli-Mubarak Se Ishara Farmaker Dua Farmayi Ki,

Aye ALLAH! Hamare Irdh-Girdh Baarish Ho, Hamper Na Ho,
Huzoor Ka Yeh Ishara Karna Hi Tha Ki Jis-Jis Taraf Huzoor Ki Ungli Gayi Us Taraf Se Baadal Fhat-ta Gaya Aur Madina Munavwara Ke Uper Sab Aasmaan Saaf Hogaya!

(Mishkaat Sharif, Pg-528)

*********************************
SABAK:-
''''''''''''''
Sahaba-A-Kiraam Radi-Allahu-Ta'aala-Anhum Mushkil Ke Waqt Huzoor Hi Ki Bargah May Faryaad Leker Aate The! Unko Yakeen Tha Ki Har Mushkil Yahan Hal Hoti Hain! Wakayi Yahin Hal Hoti Rahi Hain! Isi Tarah Aaj Bhi Hum Huzoor Ke Mohtaaj Hain! Bagair Huzoor Ke Wasila Ke Hum ALLAH Se Kuch Bhi Nahi Pa Sakte! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Huqumat Baadalon Per Bhi Jari Hain


Facebook: Sarkar Ki Ghulami

No comments:

Post a Comment