Jhooth bolna gunahe kabirah hai.
QURAAN : SHAREEF:
Jhooth bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat hoti hai.
(Surah Al Imran : aayat-61)
jhooth bolne ki aadat ka sab se bada nuksan ye bhi hai ke jhoot bolne wala jab sach bolta
hai to bhi log uski baat par yakeen nahi karte.
1st April ko jaanbooz kar jhoot bola jaata hai aur jhoot bolkar khushi manayi jaati hai aur musalman bhi gair muslimo ke saath isme samil hote hai. kya ek musalman ke liye ye sab
sahi hai.?
iss me 3 Nuksan hai hai :
1 : jhoot bolne ka gunah
2 : gair-muslimo ka tariqa apnana
3 : jhooth bol kar samne wale ko be-waquf banana.
QURAAN : SHAREEF:
aur jo ISLAM ke siwa kisi deen ko chahega to hargiz usko qubool na kiya jayega. aur woh
aakhirat me ziyakaron me (nuksani) se hai.
( Surah Al Imran : aayat-85 ; tarjuma - Kanzool Imaan)
aye Iman walo ISLAM me pure dakhil ho jao aur shaitan ke qadmo par na chalo. beshaq wo
tumhara khula dushman hai.
(Surah Al Bakrah : aayat-208)
Hadees Shareef :
Tum me se koi shakhs us waqt tak kamil momin nahi ho saktajab tak ke uski khwahishat us
deen ke ta'abe na ho jaaye jise mai
(NABI sallallaho alayhi wasallam) lekar aaya hu.
(Bukhari sharif)
aqlmand wo shakhs hai jo apne nafs ko ALLAH ke ta'abe kare aur maut ke baad ke liye amal
kare aur bewakoof wo shakhs hai jo apne nafs ko apni khwahish ke ta'abe kare aur ALLAH par ummid rakhe.
(Ibne Maajah ; Tirmizi)
Mo’min ko chahiye ke Quran aur Hadees ko yaad rakhkar har
amal sunnat aur islami tarike se kare aur gunah se bachne ki koshish kare kyu ki gunah se bachna bhi neki hai.
pyare Aaqa sallallahualayh iwasallam ke pyare deewano ye ahad karo ke
1st April ko bhi aur humesha jhoot bolne se door rehna hai aur gunah se bachne ki koshish
karke
ALLAH aur uske Rasool sallallahualayh i wasallam ko raazi karna hai.
ye baat khud bhi yaad rakhe aur apne dosto aur rishtedaro ko samjha kar in sab musalmano ko bhi is gunah se bachaye..
kyu ki neki ki baat sikhane wala bhi neki karne wale jaisa hai.
ALLAH sab ko sach bolne ki aur gair-muslimo ke tyohar manane se door rehne ki aur gunaho se bachne ki taufiq ataa farmaye.
AAMEEN SUMMA AAMEEN
Sarkar ki Ghulami
No comments:
Post a Comment