[1] Jo Shakhs 1- Bar Subhan Allah Kehta Hai Jannat me us Ke Naam Ka 1 – Darakht laga Diya Jata Hai Kehte Hain Ke Us Darakht Ka Saya Itna Bara Hai Ke Agar Arbi Nasal Ka Ghora 500 Saal Tak Bhi Dorta Rahe Tab Bhi Us Ka Saya Khatam Nahi Hoga.
[2] Insaan ka Kirdaar Us Ki Zubaan Ke Neechey Posheeda Hai Agar Kisi Shaks Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho Tou Us Ko Sakht Ghussey Ki Halat Main Dekho Hazrat Ali (R.A)
[3] Sari burayi mai se ek burayi gibat hai (Chugli karna). Gibat gunah-e-kabira hai. Kisi ki peth ke pichhy burayi karne ko gibat kaha jata hai. Gibat ko quran mai apne bhai ka gusht khana bataya gaya hai. Aaj is gunaha se koi bhi nahi bachha hai. Bada ho ya fir chhota, mardho ya awrat, alim ho ya jahil, sabhi iss gunaha mai fase nazar aate hai aurr bade maze lelekar ek dusre ki burayiya karte hai. Jis tarah chamdey ke karkhano mai kaam kare walo chamdey ki badbu mahesus nahi hoti kyonki wah uske aadi ho chuke hote hai, issi tarah gibat karne walo ko gibat ki badbu mahesus nahi hoti.
[4] Jab aap kisi gareeb ko zakat de to uska shukriya ada kare kyon ki, aap us gareeb ka aaj bana rahe hai. Par wo apki akhirat bana raha hai.
[5] Gusal mein 3 – farz hain.
a – Kulli karna is tarha muuh ke koi hissa khushk na rahe jaye zaban ke niche danto ke hont ke piche har hisse par pani behe jaye
b – Nak mein narm haddi tak pani dalna ke koi bal bhi sukha na rahe jaye andar.
c – Poore jism par sal ke bal se paon ke nakhun tak jo hissa zahir he ya jise aram se zahir kar sakte hen un tamam jagho par pani bahana, pani bahane ka matlab ye he ke bal ke har har hisse par kam az kam 2 katre pani beh jaye.
[6] Imam ke liye faraz magrib aur isha ke namaz mai baland awaz se kirat karna wajib hai. Is hi tarah zohar aur asr mai ahishta padhna wajib hai. Iske khilaf karne par sazda shahho karne par hi namaz hogi warna nahi.
[7] 4-rakat wali namaz mai 2-rakat ke baad attayaat padhne ke liye bayethna wajib hai. Agar nahi bayethe to yaad ane par sazda shahho karne se namaz ho jayegi. Agar sazda shahho nahi kiya to namaz nahi hogi.
[8] Mehar Aurat ka sarayi haq hai. Mard ke liye lazmi hai ki wah mehar ki rakam zaror aada kare warna gunehgaar hoga. Afsos ki aajkal is ka khayal talak ya ladayi-jhhagda hone ki nawbat aane par hi mahesus ki jati hai. Isse pahele log mehar ki rakam ki baat karna munashib nahi samjhte. Shadi ke waqt bahut sari zayaz nazayaz cheze taye ho jati hai lekin mehar ki baat nahi ki jati jiski wazah se nikah ke waqt Qazi shaheban ko badi pareshani hoti hai.
[9] Tumhara Behtareen Hum-Nasheen Wo Hai, Jo Tumhara Ayeb Jan kar bhi Tumare Saath Rahey Aur Wo Tumhare Parwardigar ke alwa koi Ho Hi Nahi Sakta.
[10] Zindagi main kamiyabi Hasil karne ke liye humein sirf ek kam karna hai,or woh hai ALLAH ki Nafarmani se bachna.
[11] Jo adimi sadka-khayrat karta hai, rishtedaro se achchha bartaw karta hai allah paak usski umar mai barkat ata farmata hai. Aur uski mushibate dur farmata hai.
[12] Mushkilaat humaisha behtreen logon ke hisay me ati hain kyoun ke woh us ko behtreen tariqay se anjaam denay ki salahiat rakhtay hain . Hazrat Ali
[13] Insaan ki ek chhoti si khata use apne Rab se dor leke ja sakti hai_Aur ek choti si Neki use apne Rab ka Aziz tareen banda bana sakti hai.
[14] Kya tumhe pata nahi ki aasmano aur zamin ki badshahi Allah hi ki hai aur Allah ke shiwa tumhara koi bhi himayati aur madad karne wala nahi hai_(Para – 2 Sure – Al-bakar, ayet – 106)