Sunday, March 31, 2013

** Naksh e Naalein e Mubarak se husule barkat **

Naksh Naalein e Mubarak ke hawale se Imaam Ibne Fahad Makki aur digar aimma ki ek kasir tadad ne apna apna tajurba bayaan kiya ke ye..

Jis lashkar me hoga, vo fatehyab hoga. 
Jis kafile me hoga, vo ba-hifazat apni manzil par pahunchega.

Jis kashti me hoga, vo dubnese mahfooz rahegi.

Jis ghar me hoga, vo jalne se mahfooz rahega.

Jis maalo-mataa me hoga, vo chorise mahfooz rahega.

Aur kisi bhi hajat ke liye Sahibe Naalein Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko wasila banaya jaaye, vo puri hogi.

Naksh Naalein e paak ke aazmaae huve faido barkaat me se ye bhi he ke jo sakhs husule barkat ki niyyat se apne paas rakhe,
to vo shakhs zaalim ke zulm se, dushmano ke galb se, sayaatin ke sar se aur haasedin ki nazre badse hifazat me rahega.

Isi tarah agar koi haamela aur shiddate darde zah me (bacche ki paidaish ke waqt jo dard hota he vo) isko daae pehlu par rakhe to Allah ta’ala apni qudrato mashiyat se uss khatoon par aasani farmayega.

Iss Naksh e muqaddas ki barkato me se ye bhi he ke iske jariye nazre bad aur jaadu-tone se aadmi amaan me rahta he.

Barkaate Nalein e Paak ke hawale se ba’az waqeaato mushahidaat jinko Imaam Makki ne apni Kitab ‘Fatahul Mataal fi Mad-hin Na’aal’ me bayaan kiya he.

[ba-hawaala: Tabarrukat ki Sharai Haishiyat]

Sarkar Ki Ghulami

www.sarkarkighulami.blogspot.in

No comments:

Post a Comment