Sunday, March 31, 2013

Say NO to April Fool Day.


ISE READ KARNE K BAAD SHARE KARNA NA BHULE APRIL FOOL EK GUNAHO KA ZAKHIRA HAI

Jhooth bolna gunahe kabirah hai.

QURAAN : SHAREEF:


Jhooth bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat hoti hai.
(Surah Al Imran : aayat-61)
jhooth bolne ki aadat ka sab se bada nuksan ye bhi hai ke jhoot bolne wala jab sach bolta
hai to bhi log uski baat par yakeen nahi karte.
1st April ko jaanbooz kar jhoot bola jaata hai aur jhoot bolkar khushi manayi jaati hai aur musalman bhi gair muslimo ke saath isme samil hote hai. kya ek musalman ke liye ye sab
sahi hai.?
iss me 3 Nuksan hai hai :
1 : jhoot bolne ka gunah
2 : gair-muslimo ka tariqa apnana
3 : jhooth bol kar samne wale ko be-waquf banana.


QURAAN : SHAREEF:

aur jo ISLAM ke siwa kisi deen ko chahega to hargiz usko qubool na kiya jayega. aur woh
aakhirat me ziyakaron me (nuksani) se hai.
( Surah Al Imran : aayat-85 ; tarjuma - Kanzool Imaan)

aye Iman walo ISLAM me pure dakhil ho jao aur shaitan ke qadmo par na chalo. beshaq wo
tumhara khula dushman hai.
(Surah Al Bakrah : aayat-208)

Hadees Shareef :


Tum me se koi shakhs us waqt tak kamil momin nahi ho saktajab tak ke uski khwahishat us
deen ke ta'abe na ho jaaye jise mai
(NABI sallallaho alayhi wasallam) lekar aaya hu.
(Bukhari sharif)

aqlmand wo shakhs hai jo apne nafs ko ALLAH ke ta'abe kare aur maut ke baad ke liye amal
kare aur bewakoof wo shakhs hai jo apne nafs ko apni khwahish ke ta'abe kare aur ALLAH par ummid rakhe.
(Ibne Maajah ; Tirmizi)

Mo’min ko chahiye ke Quran aur Hadees ko yaad rakhkar har
amal sunnat aur islami tarike se kare aur gunah se bachne ki koshish kare kyu ki gunah se bachna bhi neki hai.
pyare Aaqa sallallahualayh iwasallam ke pyare deewano ye ahad karo ke
1st April ko bhi aur humesha jhoot bolne se door rehna hai aur gunah se bachne ki koshish
karke


ALLAH aur uske Rasool sallallahualayh i wasallam ko raazi karna hai.
ye baat khud bhi yaad rakhe aur apne dosto aur rishtedaro ko samjha kar in sab musalmano ko bhi is gunah se bachaye..


kyu ki neki ki baat sikhane wala bhi neki karne wale jaisa hai.
ALLAH sab ko sach bolne ki aur gair-muslimo ke tyohar manane se door rehne ki aur gunaho se bachne ki taufiq ataa farmaye.

AAMEEN SUMMA AAMEEN


Sarkar ki Ghulami 

Dua to Fulfill all the Needs.

** Naksh e Naalein e Mubarak se husule barkat **

Naksh Naalein e Mubarak ke hawale se Imaam Ibne Fahad Makki aur digar aimma ki ek kasir tadad ne apna apna tajurba bayaan kiya ke ye..

Jis lashkar me hoga, vo fatehyab hoga. 
Jis kafile me hoga, vo ba-hifazat apni manzil par pahunchega.

Jis kashti me hoga, vo dubnese mahfooz rahegi.

Jis ghar me hoga, vo jalne se mahfooz rahega.

Jis maalo-mataa me hoga, vo chorise mahfooz rahega.

Aur kisi bhi hajat ke liye Sahibe Naalein Huzoor Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko wasila banaya jaaye, vo puri hogi.

Naksh Naalein e paak ke aazmaae huve faido barkaat me se ye bhi he ke jo sakhs husule barkat ki niyyat se apne paas rakhe,
to vo shakhs zaalim ke zulm se, dushmano ke galb se, sayaatin ke sar se aur haasedin ki nazre badse hifazat me rahega.

Isi tarah agar koi haamela aur shiddate darde zah me (bacche ki paidaish ke waqt jo dard hota he vo) isko daae pehlu par rakhe to Allah ta’ala apni qudrato mashiyat se uss khatoon par aasani farmayega.

Iss Naksh e muqaddas ki barkato me se ye bhi he ke iske jariye nazre bad aur jaadu-tone se aadmi amaan me rahta he.

Barkaate Nalein e Paak ke hawale se ba’az waqeaato mushahidaat jinko Imaam Makki ne apni Kitab ‘Fatahul Mataal fi Mad-hin Na’aal’ me bayaan kiya he.

[ba-hawaala: Tabarrukat ki Sharai Haishiyat]

Sarkar Ki Ghulami

www.sarkarkighulami.blogspot.in

Bahare Shariat



•»JIBRAYIL AMIN AUR EK NOORANI TARA«•

•»JIBRAYIL AMIN AUR EK NOORANI TARA«• 

Please Read and Share

HIQAYAT:-

Ek Martaba Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Hazrat Jibrayil Amin Alaihis Salam Se Daryaft Farmaya, Ki Aye Jibrayil! Tumahri Umr Kitni Hai?
To Jibrayil Alaihis Salam Ne Arz Kiya, Huzoor! Mujhe Kuch Khaber Nahi! Haan, Itna Jaanta Hoon Ki Chauthe Hijaab May Ek Noorani Tara 70 Hazaar Baras Ke Baad Chamakta Tha! Maine Use 72 Hazaar Martaba Chamakte Dekha Hai! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Yeh Sunker Farmaya,
"Mere Rab Ki Izzat Ki Kasam! Main Hi Wo Noorani Tara Hoon!"

(Roohul Bayaan, Jild-1, Pg-974)

SABAK:-

Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Qainaat Ki Har Chiz Se Pehle Paida Farmaye Gaye Hain! Aapka Noor-A-Paak Us Waqt Bhi Tha Jabki Na Koi Farishta Tha, Na Koi Basher, Na Zameen Thi, Na Aasmaan Aur Na Koi Shai!


FA-SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM!


www.facebook.com/sarkarkighulami